Bihar Board Class 10th Registration Date 2027: Bihar Vidyalaya Pariksha Samiti ne Matric Pariksha 2027 me shamil hone wale vidyarthiyon ke liye ek achhi khushkhabri hai jo bhi 2027 me pariksha me shamil hona chahte hain aur wah vidyarthi abhi tak apna panjiyan yani ki registration form ko nahi bhara hai to aapko pareshan hone ki avashyakta nahi hai aapke liye phir se aavedan karne ka mauka diya gaya hai Bihar Board 10th Online Registration se sambandhit sabhi jankari is post me di gayi hai.
Bihar Board Matric Pariksha ko lekar panjikaran prakriya shuru kiya gaya tha jis jis ne panjikaran ko poora nahi kiya hai wah sabhi aap panjikaran ko poora kar sakte hain kyunki vilamb shulk ke saath ab aapko aavedan karna padega kehne ka matlab yah hai ki pehle jitna bhi registration ka paisa lagta tha ab aapko kuch extra aavedan shulk ke saath milkar dena padega iske baad aap aasani se pariksha form prakriya ko poora kar payenge.
Bihar Board Class 10th Registration Date 2027: Overviews
| Particulars | Details |
| Exam Conducting Body | Bihar School Examination Board (BSEB), Patna |
| Academic Session | 2026–27 |
| Applicable Classes | Class 10 (Matric) |
| Registration Dates | July 13, 2026 |
| Mode of Registration | Online through respective school logins only |
| Eligible Students | regular registration process |
| Application Submission | Through the concerned school, after document verification |
| Official Websites | biharboardonline.org regsecondary.biharboardonline.com |
Also Read –
- Bihar Board Class 10th Scholarship Payment Status 2026: बिहार बोर्ड 10वीं पास छात्रों के खाते में आए ₹10,000? ऐसे चेक करें स्कॉलरशिप पेमेंट स्टेटस
- Bihar Board 12th Dummy Registration Card 2027: जारी हुआ डमी रजिस्ट्रेशन कार्ड, डायरेक्ट लिंक से करें डाउनलोड
- Bihar Board 10th Dummy Registration Card 2027 Download: 10वीं डमी रजिस्ट्रेशन कार्ड डाउनलोड होना शुरू, कहीं ये गलती तो नहीं?
- Bihar Board Dummy Admit Card 12th 2026: बिहार बोर्ड इंटर का डमी एडमिट कार्ड जारी
- Bihar Board 10th Scholarship Payment List 2026: 10वीं पास छात्रों के खाते में आने लगे ₹10,000 लिस्ट में नाम देखें
Bihar Board Class 10th Registration Date 2026 Last date
| Start Online | 13 July 2024 |
| Last Date | 22 July 2024 |
Nayi panjikaran ke liye Bihar Board ke sabhi vidyarthi ko ghoshna patra download karna hoga jiske baad pariksha form ko bharna hoga jahan par chhatra apna naam mata-pita ya abhibhavak aur shaikshanik sansthan ke pradhanadhyapak ke hastakshar karna hoga uske baad aap sabhi ko adhikarik portal par upload karna hoga.
Bihar Board 10th Registration Form Online
Bihar Board Matric ke jo bhi ummeedwar hain jinhone pehle hi aavedan patra ko bhar diya hai unhe dobara se ghoshna patra download karne ki avashyakta nahi hai jin vidyarthiyon ne shulk ka bhugtan nahi kiya tha lekin aavedan patra bhi nahi bhara hai to unke liye ab date ko aage badha diya hai jiske baad wah sabhi vidyarthi apne dastavez ko upload kar payenge.
Bihar Board ki taraf se poori tarah se spasht kaha gaya hai ki jo bhi pariksha form vidyarthi bharenge wah apna naam mata-pita ka naam janm tithi photo vishay aur bhi sabhi jankari ko sahi se darj karenge kisi bhi prakar ki truti nahi hona chahiye anyatha pariksha me pareshani hogi admit card ya praman patra jaari hone me aapko dikkat aa sakta hai.

Bihar Board 10th Registration Application Fees
Sabhi vidyarthiyon ko bata de ki niyamit koti ke ummeedwaron ko vilamb shulk ke saath 450 rupaye ka panjikaran rashi dena padega jabki swatantra koti ke vidyarthiyon ko vilamb shulk ke saath 580 rupaye dene honge jila shiksha padadhikari Kameshwar Prasad Gupta ne bataya hai ki jo bhi vidyarthi abhi tak pariksha form ko nahi bhara hai wah vilamb shulk ke saath sabhi vidyarthi 22 July 2026 tak panjikaran kar sakte hain.
Bihar Board 10th Registration Online Documents
- Aadhar card
- Email ID
- Mobile number.
Adhikarik suchna ke anusaar aapko bata de ki jila ke jitne bhi manyata prapt vidyalaya hai un sabhi ke pradhanacharya ko user ID aur password Bihar Board ke madhyam se pradan kar diya gaya hai jisse wah adhikarik portal par vidyarthiyon ka panjikaran kar payenge.
Bihar Board Class 10th Registration Online Kaise kare
Jo bhi vidyarthi pariksha form ko bharna chahte hain wah apne school ke madhyam se adhikarik website par jaakar aasani se pariksha form ko bhar sakte hain aapko form ko bharne ke liye apne school me jana hi hoga wahan par jaakar aasani se aap pariksha form ko jama kar sakte hain.
Important Link
| Apply Online | Click Here |
| Join Telegram | Click Here |
| Join WhatsApp | Click Here |
| Official Website | Click Here |




