ग्रुप से जुड़ें

Bihar Board 10th Exam Date 2026 Time Table बिहार बोर्ड 10वीं का फाइनल शेड्यूल! इस डायरेक्ट लिंक से तुरंत डाउनलोड करें अपने सब्जेक्ट की एग्जाम डेट।

Bihar Board 10th Exam Time Table 2026

Bihar Board 10th Exam Date Time Table बिहार बोर्ड 10वीं का फाइनल शेड्यूल! इस डायरेक्ट लिंक से तुरंत डाउनलोड करें अपने सब्जेक्ट की एग्जाम डेट।

Bihar Board 10th ki pariksha har saal hoti hai jismein lakhon vidyarthi shamil hote hain, yeh ek tyohar ki tarah hota hai. Exam ki date aur schedule aate hi har vidyarthi ke mann mein ek hi sawal uthta hai ki kaun sa paper kab hoga aur kitna samay bacha hai. Aksar vidyarthi official website par hi nazar banakar rakhte hain. Aap sabhi PDF ki wajah se confuse na hon, uska humne samadhan nikal diya hai.

Aap sabhi ki samasyaon ko door karte hue humne aapke liye Bihar Board 10th Pariksha Time Table 2027 ke liye taiyar kar liya hai. Sirf aapko apne subject ke hisab se exam date aur shift hi nahi batayega, balki aap real-time countdown bhi dekh sakte hain ki aapki pariksha kab hone wali hai, taaki aapki taiyari behtar ho sake aur sahi tarike se plan aap kar sakein.

Exam Time Table Kyun Important Hai?

Exam ka schedule janna sirf date ko yaad rakhna nahi hai, balki aapko apni padhai ke liye ek ranniti banana hai jo bahut hi zaroori hai. Jab aapko pata chalta hai ki Science ka paper kab hai, Arts ka paper kab hai, toh us din ka jo goal hai aapko use set karna hai aur tabhi aap revision plan ko acche se kar sakte hain. Humara yeh tool aapko saal 2027 ki exam schedule ki poori jankari ek hi jagah par deta hai jisse aap pehle charan (shift) aur doosre charan dono ka saaf tarike se jankari ko prapt kar sakein.

Is Tool Ko Kaise Istemal Karein?

Humne lakhon vidyarthiyon ke liye ek accha sa simple sa tool banaya hai jahan par sabhi vidyarthi aasani se jankari ko prapt kar sakte hain. Neeche diye gaye steps ko aapko follow karna hai:

  • Sabse pehle aap apna pariksha ka saal chayan (select) karenge jo neeche aapko drop-down menu mein dekhne ko mil raha hai.
  • Uske baad aapko "Show Time Table" button par click kar dena hai.
  • Tab aapke samne ek table khulkar aa jayega jahan par poori jankari jaise date, subject aur timing bhi aapko saaf dekhne ko milega.
  • Sabse mahatvapurna baat, humne neeche ek countdown timer bhi set karke rakha hai taaki aapko pata chalta rahe ki aapko pariksha dene mein ab kitne din bache hain, jisse aap motivate hokar apni pariksha ki taiyari aur jor-shor se kar sakein.

Bihar Board 10th ki pariksha mein safalta pane ke liye aapko plan aur focus dono banana bahut hi jyada zaroori hai. Humein ummeed hai ki yeh tool aapke exam preparation mein ek madadgar saathi ke taur par sabit hoga. Aap sabhi vidyarthiyon ko hardik shubhkamnayen!